donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* murjhaya honto’n ka tabassum, uda hua tasweer ka rang, *
murjhaya   honto’n   ka   tabassum,  uda  hua  tasweer  ka  rang,
kis  kis  rang  se  mil  ke  bana  hai  kya  jane  taqdeer  ka  rang!
 
Talkh  haqeeqat  ki  mitti  main  khwab  ke  dane  boye  hai’n,
Jane  fasal  ugegi  kaisi,  kya  hoga  taabeer  ka  rang!
 
Roshan  thi  hatho’n  ki  lakeeren  peshani  pe  bal  bhi  na  tha,
Lekin  kaise  pheeka  pad  gaya  apni  har  tadbeer  ka  rang!
 
Uljhi  uljhi  mabham  mabham  meri  kahani  harf  ba  harf,
Tala  hua  meezan-e-nazar  per jazbon  ki  taseer ka  rang!
 
Jane  ulajh  ke  kis  uljhan  main  zehan  hua  paband  nigaah,
Aankho’n  aankho’n  ko  deta  tha  khwabon  ki tabeer  ka rang!
 
Toot  gaye  takhayyul   ke  par  ab  kon  ufaq  par  dale  nigah,
kon  shafaq  ki  surkh  nadi  se  chhane  nain  ke  neer  ka rang!
 
Naqad  wa  nazar  ke  paimane  se  fun  ki  salabat  poochhti  hai,
Kis  qeemat  pe  mil  sakta  hai  shohrat  aur  tash  heer  ka  rang!
 
Kaun  karega  baya’n  mere  afsane  ki  talkhees  kaho,
Kaun  nazar  ke  pyale  me  gholega  meri  tahreer  ka  rang!
 
Kaun  sunega,  kise  sunaoo’n,  manzar  apne  dil  ki  hadees,
Kis  ki  samaat  se  mansoob  karoo’n   apni  taqdeer  ka  rang!
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364