|
* Rang rang har subah ka manzar jaise khawab dewane ka, *
Rang rang har subah ka manzar jaise khawab dewane ka,
Kiya jane anjaam talak kya raaz khule afsane ka!
Ghulne laga hai nazar nazar mai’n teri haqeeqat-e-haal ka rang,
Toot raha hai qadam qadam par bharam tere afsane ka!
Apni duniya’n dekh chuka ab tera zamana dekhunga,
Kah jo saka to, tu bhi kah le khawab hai yeh deewane ka!
Tere karishme mai’n ne dekhe tu bhi tamasha dekh mera,
Taul raha hoon palak palak par aks is aaina khane ka!
Mere qisse meri kahani mujh se hain mansoob tamaam,
Ghazlen meri kya khwab bune’n gi apne aur begane ka!
Ab bhi ameen-e-naqsh-e-kaf-e-pa raah guzar is shahar ki hai,
koi bhi imkaan nahi hai laut ke ab ghar jane ka!
Daad bhi di hai yoon logo’n ne parh kar mere dil ki hadees,
Kya unwaan hai manzar sahib aap ke is afsane ka?
******* |
|