|
* Gud guda kar nigeh-e-dil ko nazaro’n ki tarah, *
Gud guda kar nigeh-e-dil ko nazaro’n ki tarah,
Chhip gaya koun gulista’n me baharo’n ki tarah!
Yeh lahoo rang tamannao’n ka shirazah hai,
Jhilmilata hai jo palko’n pe sitaro’n ki tarah!
...
Mujh ko maloom hai is munkar-e- taqdeer ka haal,
Rah gaya tishnah jo darya pe kinaro’n ki tarah !
Har giraa’n gosh nigaho’n ko samaat ker ke ,
Baat sunta hai meri apne isharo’n ki tarah !
Naghma-e-rooh hadees-e-dil-e-betaab sahi ,
Parh na phir bhi ise QURAAN ke paaro’n ki tarah !
Mere pairahan-e-anfaas me mat taa’nk gulab,
Dil ke taro’n se jo uljha rahe kharo’n ki tarah!
Mere mathe ki shikan ghour se parhne walo’n ,
Kutba-e-sang nahi hoon main mazaro’n ki tarah!
Dil ke weerane mai’n hai raqs bahara’n Manzar,
Zakhm ke phool machlate hain shararo’n ki tarah !
******* |
|