donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kaun hai ab meri palko'n ko bhigone wala, *
kaun hai ab meri palko'n ko bhigone wala,
dil hi jab toot gaya phoot ke rone wala !
 
waqt ki gard mai'n chehre ki shikan doob gayee,
silsila khatm hua aaina dhone wala !
 
dasht-e- jaa'n me mere phir rooh-e-ana goonj uthi ,
ho na ho phir hai koi haadsa hone wala !
 
yaad mujh ko na dilaye mera bachpan koi ,
is taraf aaye na ab koi khilone wala !
 
dil ke har reshe mai'n kaanto'n ki ani goondhta hai,
saa'ns ke dhago'n mai'n phoolo'n ko pirone wala!
 
kaun si shay thi jo sannate ka dil cheer gayee,
chau'nk kar jaag pada phir koi sone wala!
 
raayga'n kar ke mujhe khud hi pashemaa'n hoga,
khud hi pachhtayega Manzar mujhe khone wala!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 358