donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai’n gaye waqt ka ek lamha-e-aainda’h hoo'n! *
Kal  bhi   roshan  tha  yuhi’n ,  aaj  bhi  ta_binda’h  hoo'n,
Mai’n  gaye   waqt  ka  ek  lamha-e-aainda’h   hoo'n!
 
Barg-e-gul   par  ho  koi  qatra-e-shabnam  roashan,
Safa-e-dahr  pe  jis  tarha  mai’n  paaInda’h  hoo'n!
 
Kis  se  hoti  hai   shab-e-hijr  ki  rudaad   raqam,
Mai’n   to  ek   harf-e-mohabbat  ka  nigahRinda’h  hoo’n!
 
Zarb-e-ehsas  se  toota  hai   har  ek  taar-e- wajood,
Ek  rabaab-e-dil-e-betaab  hoo’n,  naalinda’h  hoo’n!
 
Khizr   bhi,   moosa  bhi mai’n,  rahguzar-e-shouq  bhi mei’n,
Khud  musafir  bhi  hoo’n  mai’n  khud   hi  numainda’h   hoo’n!
 
Saaz  me   soz  hai   awaaz   me  baquee  hai  khanak,
Chand   saanso’n    ke   taqaze’y  pe  abhi   zinda’h  hoo’n!
 
Khud  se  bhi   aankh   milayee   nahi  jaati  “ manzar”,
Aina  dekh  ke  mai’n   kis   liye    sharminda’h  hoo’n!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 318