donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aiwaan-e-takhaiyul mein, qindeel-e-nazar rakh do, *
Aiwaan-e-takhaiyul    mein,   qindeel-e-nazar   rakh  do,
Phir  khwab  ke  sine  per  tabeer  ka  sar  rakh  do!
 
Ehsas  ki  palko  per  jazbon  ka  asar  rakh   do,
Afkaar  ke  shano  per   jibreel   ka  par  rakh  do!
 
Tafseer   jo  likhni   ho   harfon  ke  moqadder  ki,
Taweel-e-ma-ani   mein   tanweer-e-nazar  rakh  do!
 
Tamsheel   ki  surat  mein  anfaas  ki lai  jaage,
Tum  qalb-e-mohabbat  mein  gar  shoal-e-tar  rakh  do!
 
Ek  shamm-e-ghazal  rakh  do  shabgeer   fazaon  mein,
Anfaas  ke  taron   per  naghmat-e-sahar   rakh  do!
 
Takhreeb  ke  but  dha  do,  taameer  ka  mausam  hai,
Is  raat   ki  aankhon  mein,  imkan-e-saher  rakh  do!
 
Usloob   ki   jiddat   ho,  tarteeb-e-ibarat   mein,
Tashkeel-e-ma-ani  mein  mafhoom-e-diger  rakh  do!
 
Rangeen   qaba  de  do,  be-rangi-e-alam   ko,
Ankhon   mein   zamane   ki  rang-e-gul-e-tar  rakh  do!
 
Be  chehra   naseebon   ko,   chehre  ki  zarurat  hai,
Le  jao  ye  aaina,  aaina   udher  rakh  do!
 
Manzar   ye   ghazal  wale,   usloob-e-ghazal  samjhein,
Tum  harf-e-alamat  mein,  jazbon  ka  asar  rakh  do!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378