donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Faseel-e-sang-e-asar pa phail-e-to hadd-e-dasht-e-ana na toote, *
Faseel-e-sang-e-asar   pa   phail-e-to   hadd-e-dasht-e-ana   na   toote,
Phisal    phisal  kar  mere  labon  se  kheen  ye  harf-e- dua  na  toote !
 
Hudood-e- Irfan  ki   manzilon  hain  sang-e-meel  agahi  ke raushan,
Qyas-e-teera   nigah  se   phir  tajalli-e-naqsh-e-pa  na  toote!
 
Jo   husn-e-fitrat   ke   aaine  main  shaoor-e-nau   ka  jameel  dekhe ,
Isse   yah  dar  ke    shikastah  lamho’n  se zeest   ka  housla  na  toote!
 
Agar  kabhi   fitrat-e takhai_ul    jabillaton  ka  suragh   dhoonde ,
Shikhastagi   ka  shaoor  jage  to zeest  ka  housla  na toote !
 
Kasha-kash-e- fikr-e- nau    se    buch   ker   nigah  koi   kahan   rahegee,
Ager   ye   andaaz-e-naazu ki   hai   to  surat-e-aaina   na  toote!
 
Jo   rahguzaar-e- saraab-e- manzil   ki   intiha’n    per   daleel   thahre,
Wo   mauj-e- aaiyam    par  chale  bhi  to  paon   ka aabla  na  toote!
 
Hisar-e-dasht-e-ana   se  nikle  to hedd-e-shehar-e-panah  simte
Khuli  fiza  main  jo  sang  barse  to  kis  tarah  aaina  na toote!
 
Meri  nigahoon  se  nor  barse  to  tere  rang-e-jameel    nikhre,
Dua  ki khatir  jo  haath  utthein hisar-e- duzd-e-  hina  na toote!
 
Main   apne   shishay   main  apne  aks-e-jameel   bharne  ki   aarzoo   hoon,
Meri  khudi  ka  yeah  husn-e-mainee, yaqeean-e-harf-e-khuda  na  toote!
 
Nasheb-e-koun-o-makaan  main  “ Manzar”   feraz-e-manzil  ko sochta  hoon’
Ye  hausla   khud   ko   de   raha   hoon,   tasalsul-e-irtiqa    na   toote!
********
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 439