|
* Jahan bhi pahunchi nazar rang rang manzar tak, *
Jahan bhi pahunchi nazar rang rang manzar tak,
Bikhar bikhar se gaye khawb khawb paikar tak!
Qabai harf main maaney ka husn hai bedaar,
Machal rahi hai tajallee chashm aazar tak!
Na jaaney pyas ki shiddat thi kis qadar is main,
Woh ek qatra key Jo pee gaya samunder tak !
Ufaq pe phaila hai shabgeer mausamon ka dhuan,
Hai dhundhli dhundhli shafq ki haseen chadar tak !
Na jaane aqal ki kashti kahan thikaney lagey,
Pighal pighal ke baha jaa raha hai pathar tak!
Lahu lahan badan taar taar pairahan,
Magar nazar se paray hai nishan-e-khanjar tak !
Tarap tarap key guzaari hai raat khawbon ne,
Shikan shikan hai meri aagahee ka bistar tak!
Yeh who jagah hai jahan simtiyat bhtaktee hai,
Koi to ho jo mujhe choar dey mere ghar tak!
******* |
|