donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hareem-e-fikr mein hai aalame qyaas mein hai, *
Hareem-e-fikr mein  hai  aalame  qyaas mein  hai,
Tera wajood meri chashmey khud shinaas  mein  hai !
 
Jo aks aks munawwar hai tera nakhsh-e-jameel,
Yaqueen ka soz yahi mere  iltibaas mein  hai !
 
Har ek harf-e- ibaarat hai jalwa-e- sadrang,
Jo para para merey  dil  ke  eqtibaas  mein  hai !
 
Hai  rooh-e -asr  ki   bechainiyan   sametey  huaye
Who soz-e-jan  balabi  jo  nazar  ki  pyas  mein   hai !
 
Jawaz-e –maaneye   imkaan  hai  ba-rang-e-  nazar,
Bayan   ka  husn  nihan  harf  ke libas mein  hai !
 
Ye  wo  jagah  hai  jahaan  leti  hai  ummeed  panah
Na  janey  kaisi  kashish  ab bhi  dhasht-e-yaas  mein  hai !
 
Tere  hi  naam  hai  mansoob  ye  hikayat-e- dil,
Tera  hi  zikr merey  nama-e - sipaas  mein   hai !
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 338