donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ae banaye harfe la is harf ke ander bhi hai, *
ae banaye harfe la is harf ke ander bhi hai,
Maavraye khwab bhi hai, khwab ka paikar bhi hai..
 
Tu mataaye ikhtiraa jalwa-e-zaat-e- khudi,
Andar aaene ke bhi,  aaene ke bahar bhi hai..
 
Tere mere darmiyaa’n  illa ka la ka masla,
Aur yehi ek masla ma- baine  khair-o-shar bhi hai..
 
Aashna tera nahi tujhse koi badh ke magar,
Tu saraapa raaz bhi hai, raaz ka mazhar bhi hai..
 
Fikr-e-insaan me tajassus khez hai ye bhi sawaal,
Khaaliq-e- adna basher tu khaaliqe akbar bhi hai..
 
Be’neyaazi me teri hai naaz bhi hairat farosh,
Tere andaaz-e- nazar me aalam-e- mehshar bhi hai
 
Teri zaate wahda az khud banaye imtiyaaz,
Hai kabhi zakhme tamanna aur kabhi nashtar bhi hai..
 
Chehra bhi aaena bhi aur parda dare jalwa bhi ,
Pesh-e- manzar bhi tu hi, tu hi pas-e- manzar bhi hai..
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342