donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tujhe hai aarzoo-e-dil ke kaynaat mile, *
Tujhe  hai  aarzoo-e-dil  ke  kaynaat  mile,
Bahut   hai  mujhko   jo  thoda   shaoor-e-zaat   mile!
 
Yeh  dhoop   chhaon   ka  mausam  hai  zindagi   ki  bahaar,
Bala  se  is  me  na  kuchh  khooe   altafaat  mile!
 
Main   apne   khawab  ki  tabeer  ka  hawala  doo’n,
Jo  rang  rang  hi  ta  hadd  mumkinaat  mile!
 
Main  ek  qatra   shabnam  hoon  safa-e-gul  per,
Sha-aae-noor  mili  hai  to kuchh  sabaat  mile!
 
Ajeeb  baat  hai  ye  bhi,  sakoon   dil  ke  liyee,
Khushi  talash   karoo’n  aur  gham-e-hyaat   mile!
 
Phiri   phiri  si   nazar   kyon   hai   husn   fitrat  ki,
Kholoos  dil  se   na  din hi  mile  na  raat  mile!
 
Mujhe   azaab  hai  manzar   ye  khud  shanashi  bhi,
Na  jane  is se  kab   aur  kis  tarah  nijaat   mile!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 328