donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Thakan se choor hue hosle safar wale, *
Thakan se  choor  hue  hosle  safar  wale,
Udaan  bhool  gaye  sare  baal-o-par  wale!
 
Bisaat-e-shauq  pe  baazi  jo  dil  ki  haar  gaye,
Gaye kahan, woh bhari bazm se  jigar  wale ?
 
Yaqee’n  ke  daayere  simte  to  is qadar  simte ,
Gumaa’n  ke  shaher  me  basne  lage  nazar  wale!
 
Mashham  jaan  me  jo  gul  ki tarah  mahakte  the,
Ude  wo  harf  kitabon  ke  aab  zar  wale!
 
Tilism-e-hosh  ruba  hai  ye  dor-e-didah  waran,
Khud  apne  aap  se  hai’n  be  khabar,  khabar  wale!
 
Main  apne  aap  se  bezaar  hoon   magar  “ manzar” ,
Mere  wijood  se  barham  hai’n  kyon  asar  wale?
 
Wo  chahte  the  ke  ho  dor-e- aag’hi  dil  main,
Kuchh  aise  log  the manzar  jonoon  ke sar  wale!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336