donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* haaN bekhudee ka koi meree raazdaaN na ho *
haaN bekhudee ka koi meree raazdaaN na ho
jo baat bilyaqeen hai qaid e gumaaN na ho
main apne aap me baDa oujlat pasand huN
too bhi kaheeN na naqsh bar aab e rawaaN na ho
who zakhm de ke zakhm maslataa hai baar baar
aor ye bhi chaahtaa hai ki aah o foghaaN na ho
who shak zadah nigaah se dekhey hai aaj kal
jaisey ki meraa peyaar kaheeN jaavedaaN na ho
who bulbuloN ki raag se hai seekh paa bahot
goyaa ki hai ye hukm koyee ham zabaaN na ho
main khush huwaa jo deed se un ki to ye kahaa
taa der ai azeez merey shaadmaaN  na ho
manzoor hai tamaam tar jalwah taraaziyaaN
itnee si aarzoo hai koi darmeyaaN na ho
hai jaan teree jaanaye jaanaaN se munsalik 
hassaas apni jaaN se kabhi badgumaaN na ho
**************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 387