donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan *
Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
badhaaye rog meraa payalon ki chhan chhan chaan
 
hesaare zulf me aayaa kabhi jo dil meraa
merey sho”oor pe qabzah rahaa sanam teraa
mujhe khayaal ki raanaaiyon ne jab gheraa
hodoode aagahee se badh gayaa qadam meraa
 
lutaayaa ishq me main ne bhi apnaa tan man dhan
Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
badhaaye rog meraa payalon ki chhan chhan chaan
 
gahe khayaal me kuchh der guftagu kar lun
tumhaare husn se main ishq roo baru kar lun
jo baat dil me hai us ko mai doo badoo kar lun
tumhaare jism se main aankh ko lohoo kar lun
 
main ek jogee hun tum ko banaa dun bairaagan
Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
badhaaye rog meraa payalon ki chhan chhan chaan
 
qalam hai meraa tasawur meree dewaat ho tum
tum ek sher nahi balki kulliyaat ho tum
haseen o khoobaroo phoolon ki waaredaat ho tum
meraa qaraar ho tum meree kaainaat ho tum
 
tumhen na dekhun to badh jaaye meree aor jalan
Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
badhaaye rog meraa payalon ki chhan chhan chaan
***************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363