* Ye woh da’waa hai jis se dast bardaaree nahi mumkin *
Ye woh da’waa hai jis se dast bardaaree nahi mumkin
Haqeeqat me ye da’waa saNg pe tahreer jaisa ahai
Main is ki waadiyoN pe haqqe khuddaari jataataa hun
Tumhaaraa jism merey waastey kashmeer jaisaa hai
*****************************************
Kisee mahjoor ki dhaDkan kaeeN jab tham si jaatee hai
To apne ashk se is silsiley ko taaNk letaa hai
Meree sehraa nawardi shaoq mat gin merey baatin ka
Talaash e rizq me majboor sehraa phaaNk letaa hai
************ |