donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hosh merey chheen kar deewaangee baaNtee gayee *
hosh merey chheen kar deewaangee baaNtee gayee
main ki taaraa tha amujhe aawaargee  baaNtee gayee
 
dil tarap kar rah gaye khanjar chale nazron ke jab
aor ye kahtey rahey bas saadgee  baaNtee gayee
 
aap se shikwah agar hai to hai itnee baat kaa
chaahney waalon me kiun kar bey rukhee  baaNtee gayee
 
hai koi jalwah garee yaa aap kaa andaaz hai
bey rukhee bartee gayee aor dil lagee  baaNtee gayee
 
jab ujaaley hi aNdheroN key fasaaney ban gaye
tab meree khushyaaN jalaakar roshnee  baaNtee gayee
 
jab jawaaN maosam huye to haadeca phir yun huwaa
eyk mujh ko chhor kar sab ko khushee  baaNtee gayee
 
husn kaa apnaa jahaaN hai saat pardoN men rahaa
par ye sach hai har galee me chaaNdnee  baaNtee gayee
 
taazgee aor husn donon aap ki jaageer hain
phir terey hassaas ko kiun bey basee  baaNtee gayee
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 397