donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* paiwast dil me ho gayee ik deedah war ki baat *
paiwast dil me ho gayee ik deedah war ki baat
qabl az safar hi kijiyey rakht e safar ki baat
tatheer e baatinee se mozaiyan to aap hoN
phir aaiyey sunaataa hun shaq.qul qamar ki baat
haalaat jo bhi aayey hain un kaa hi gham karo
ho is safar me kis liye pichhley safar ki baa
tum ko to yaad ye bhi nahi aaj kiyaa huwaa
ik ham hain yaad rakhey huye saal bhar ki baat
mat baat ko udaao koi baat hai zaroor
dariyaa bhi aaj kar rahaa hai koozah gar ki baat
go ki zabaanN khamosh thi lab tak they munjamid
aNgraayi se bataa gaey maddo jazar ki baat
ham asr shaairon ko parhaa main ne bhi magar
mujh ko to yaar yuN hi lagee beshtar ki baat
hassaas chand sher hi den gey tujhey dawaam
rakkhey gaa yaad kaon teree oumr bhr ki baat
******************8
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 323