donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* har baat ko achhaa nahi kahnaa wo hai jhanjhat *
haazreen eyk ghair moraddaf ghazal leke haazir hun ummeed ki doaa se nawaazen ge

har baat ko achhaa nahi kahnaa wo hai jhanjhat
kuchh log hon ik ghar me to ho jaatee hai khat pat
hai oumree taqaazaa ki sametey hain sar o paa
bachpan me huwaa kartey they ham log bhi nat khat
ik roz kahaa main ne bhi naaseh ko jawaaban
allaah qasam tu bhi to shaitaan hai chal hat
tum ham ko daghaa baaz kaho ,, theek hai ,,, lekin
chaokhat pe tumhaaree hi kiyaa oumr ko chaupat
dil ki main sunoon ? kis liye kis waastey kiun kar
dil khaanmaa barbaad hai dar asl hai baouchat ( ahmaq)
tum seb ho yaa aam ho jaaun gaa nigal kiyaa ?
tum dekh ke chehraa meraa kiun bhaago ho sarpat
har baat pe khaamoshi bhi achhi nahi phir bhi
har baat pe munh kholo gey ho jaao gey munh phat
insaan ney qabron pe hawelee bhi basaa lee
insaan ki bunyaad pe sannkat me hai marghat
jab aa hi gaye ho to rakho lab pe lab e naaz
hassaas ki khowaahish hai badalnaa nahi karwat
**************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 323