donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* khezaaN ka dast sadaa fasl e nao bahaar pe thaa *
khezaaN ka dast sadaa fasl e nao bahaar pe thaa
galaa zameer ka khanjar ki tez dhaar pe thaa
hawaa ke sar pe hi ilzaam baarhaa kiun kar
meraa cheraagh hi khud bujhney ki kagaar pe thaa
guzashta shaam bahot thaa soroor e hast o nahast
khomaar aor bhi ik saahab e khomaar pe thaa
sho’oor o aagahee naoha kunaaN they har shai pe
ghoroob e shams bhi taaree huwaa bazaar pe thaa
ameer e shahr ke mahmal pe aaNkh kiyaa daalee
tamaam shahr khafaa laaghar o nazaar pe thaa
agar che dahr ne bakhshaa usey thaa qufl e dehan
wo eyk shakhs thaa,, bhaaree magar hazaar pe thaa
meree sadaa thi moshaabeh sadaa ba sehraa sey
ghobaar e waqt kaa saayah paDaa dayaar pe thaa
fezaa me door geraa jaa ke ek dhamaakey sey
wo ik sufaid kabootar ki jo manaar pe thaa
qlam ko de gayaa hassaas khaas pairaayah
jo waqt aan paDaa daakhilee hesaar pe thaaSee More
*************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335