donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kalee kalee pe mazaalim sabhi gulooN pe kharaash *
kalee kalee pe mazaalim sabhi gulooN pe kharaash
tumhaarey taor ne daaley hain ham sabhoN pe kharaash
ye kaisaa tanz thaa bainas sotoor posheedah
ki parh ke aa gayee us ko merey laboN pe kharaash
main roshnee ka dasaa hun mujhey zamaanat do
cheraagh e nao hi na daaley meree shaboN pe kharaash
qayaas kis liye kahtey hain is haqeeqat ko
ghoroor e hast ne daaley baDey baDoN pe kharaash
khodaa ke waastey tum zulf gooNdh kar sonaa
shameem e zulf se aaye gee rat jagoN pe kharaash
faqat ye soch ke main choomtaa nahi in ko
merey laboN se na aaye terey laboN pe kharaash
bhaley khamosh huN hssaas par ye yaad rahey
merey sawaal se paD jaaye mahfiloN pe kharaash
*************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344