donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* meree balaa se aaney do hareef kiyaa khareef kiya *
meree balaa se aaney do hareef kiyaa khareef kiya
qazaa nahi koi meree adeel kiyaa caqeef kiyaa
 
hawaa ki khaasiyat hai yeh cheraagh who bujhaaye gee
howaa to bas hawaa hi hai naseem kiyaa kaceef kiyaa
meraa zameer aayina parho isey bhi ghaor sey
dilee kitaab rukh pe hai moheeb kiyaa zareef kiyaa
 
horoof ke hesaar sey faqat nahi ghazal ka dam
jo fikr hi nahi rahee bohoor kiyaa radeef kiyaa
 
hawaayeN aisi tund theeN ki zaad e rah nahi bachaa
sabhi ujaD pajaD gaye jaseem kiyaa naheef kiyaa
 
hai amr e waaq’ee yahee ki maalo zar ki chaah me
sabhi huye hain eyk se khabeec kiyaa shareef kiyaa
 
nibhaaye ja atu zindagee bhaley ye bojh hee sahee
uthaa liyaa hai sar pe gar caqeel kiyaa khafeef kiyaa
************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386