donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mere ham nawaa meri sun sadaa kabhi aa tu meyre mazaar par *
Mere ham nawaa meri sun sadaa  kabhi aa tu meyre mazaar par
MaiN teree anaa ka shaheed huN  jo ki raqs kun hai sharaar par
Wahi raastey wahi rah guzar wahi kaarwaaN wahi baam o dar
Kabhi apne apne hesaar meN kabhi apne apne hesaar par
Wo jo sab ke sab ka tha faisla  aji rukh pe rukh hai caDhaa huwaa
Kabhi mash e rukh jo kiyaa agar  to ghobaar nikla ghobaar par
Main sharaab e jism tu hai qadh e jaaN  meri saaNs teri ho ham zabaaN
Tu qadam baDhaa le kashaaN kashaaN  mujhey rakh le hoNt ki dhaar par
main ki gardishoN me palaa baDhaa meri daastaan hai khooN chakaaN
mujhey harf harf milee sazaa kisee faisla na qaraar par
teri aaNkh meN wo hawas thi jo pas e marg hai wahee jhaaNktee
jo bataa rahee hai saraahatan  ki tikee huyi hai shikaar par
ye ghoroor e aagahee ik balaa nahi suntan haq ki kabhi sadaa
ye rawish pe apnei data huwaa bhale harf aaye waqaar par
mujhe martabey ki hawas nahi meri fikr fikr e qalandaree
meraa raasta hai alag thalag main rawaaN huN apney kagaar par
jo palak pe thehrey haiN rat jagey  yahi chaahatoN ke haiN falsafey
yahi hirz e jaaN w ameen haiN  jo haiN sabt naqsh o nigaar par
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 451