donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Karnee hai jo bhi kijiye guftaar saaf saaf *
Karnee hai jo bhi kijiye guftaar saaf saaf 
Attar main hun kartaa hun beopaar saaf saaf 

Hain aap mere yaar ki hain maar e aasteeN 
Main ne suni hai aap ki phuphkaar saaf saaf 

Ki doctor ne koshisheN ki noch le usey 
halaaNki ab ki bach gaya beemaar saaf saaf 

jootey uthaao maaro ghazal bechtey hain jo 
khaali na jaaye koi bhi haqdaar saaf saaf 

lagta hai is pe TUNG chali hai kisi ki aaj 
rukhsaar aap ke hain mere yaar saaf saaf 

jo dushmanaan e jaan they wo kaam aa gaye 
pahloo bachaa gaye hain namak khaar saaf saaf 

kuchh log ,, saaf saaf ,, ko umdah nibhaa gaye 
kuchh phaNs gaye hain ab ke ghazalkaar saaf saaf 

ham se hi aabrooy e majaalis ka silsila 
ham ko an apni bazm se dhutkaar saaf saaf 

IMRAAN HAASHMI ne kaha ek din ..miyaaN 
Mushkil se haath aata hai kirdaar saaf saaf 

Ummat ke dhan se TAAJ bana shah ka ghoroor 
Manzar se jab ki uD gaya memaar saaf saaf 

Hassaas us ki TOP ne kheerah kiya nazar 
Dil ka qaraar le gaya shalwaar saaf saaf
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 429