donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dhoop barsaat ki taa deyr samaayi huyi hai *
Dhoop barsaat ki taa deyr samaayi huyi hai 
Tab kaheeN tursh maza itni khaTaayi huyi hai

Ye jo ik shaaerah baithi hai terey pahloo me 
Bivi to hai nahi lagtaa hai pataayi huyi hai

Qaumi leader hai miyaaN wo bhi sanad yaafta hai 
PARLIAMENT me is ki bhi thokaayi huyi hai

Hai naya saal sunaayeN bhi naya taazah kalaam 
Yeh ghazal aor kayi baar sunaayi huyi hai

Aap haiN sadr to kuchh deyr ko khamosh rahen 
Aap ki baat ney yeh baat baDhaayi huyi hai

Us ne bhejaa hai baDey peyaar se bosa deke 
Tab kaheeN surkh merey yaar miThaayi huyi hai

Us ki nazreN haiN jigar gurda siri paaye par
Teri ammaaaN to bahar taor qasaayi huyi hai

kiuN na maiN bivi ki har baat pe AAMANNAA kahuN 
saale ne peechhey se bandooq saTaayi huyi hai

aap haiN shahr e ghazal bahr bhi seekheN hazrat 
muft me she’r se ik aag lagaayi huyi hai 

bhooltaa us ko to phir jaan lo pal pal martaa 
who BHULAAYI na gayi is me BHALAAYI huyi hai

deykh ke husn bahot teyz DRIVE na kareN 
ROAD hai theek magar aagey khodaayi huyi hai

maiN ne pahnaayiN tujhe chooDiyaN lazzat leke 
kitni khush raNg magar teri kalaayi huyi hai 

chheyd ho jism me to jism to kaTtaa hai zaroor 
naak chhedwaa ke tu ne naak kataayi huyi hai 

Har koyi saahab e dastaar bana phirtaa hai 
AABROO kis ne magar apni bachaayi huyi hai

Wo hai SCIENCES pe kuchh zeyaadah amal pairaa aaj 
Mard hai .. us ki magar god bharaayi huyi hai

Meri ghazloN ko nahi aap ki hujjat darkaar 
Main ne ik raah nayi apni banaayi huyi hai

log kahtey hain ki ilzaam e ghaban hai us par 
who to kahtaa hai faqat us ki chaNtaayi huyi hai

hai ghazal aap ki , doojey ne paRhi , kiuN paNgaa 
is ki qeemat to bahar haal chukaayi huyi hai

tu ne hoNtoN se chuwaa is ko basad naaz o adaa 
kitni khush zaayeqah ab jaa ke malaayi huyi hai 

main ki huN chaar adad bachhoN ka ABBU hassaas 
log haiN poochtey kiya teri sagaayi huyi hai
****     
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 480