donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aazaar e ey’tebaar* se tharraa gayaa jigar *
Aazaar e ey’tebaar* se tharraa gayaa jigar
HaaN shiddat e qaraar* se tharraa gayaa jigar
Bharosey ki Takleef ,,, ek hi jaisee haalat
Furqat* ka har mahaaz* thaa is darja dil shikan*
Jaltey huye chanaar se tharraa gayaa jigar
Judayi ….. maidan e jang ….. dil torne waala
armaan bikherey jo gaisoo e jaaN fanaa*
dariyaa e me haar* se tharraa gayaa jigar
qaatil zulfeN….. belagaam dariyaa
har saaNs ne zameer ko raoNdaa hai is tarah
zakhmoN ke haal e zaar* se tharraa gayaa jigar
buree haalat
zindah rahey mareez magar laa dawaa* rahey
saansoN ke inteshaar* se tharraa gayaa jigar
jis ka koi elaaj nahi …. ukhaDnaa
ta’beer e dard* ashk* ko peenaa paDaa hameN
had darjah inkesaar* se tharraa gayaa jigar
dard ka natijah ….aaNsoo….apne ap ko chhotaa samajhnaa
dafnaa ke laash qabr me ahbaab chal diye
dunyaa e kaarzaar* se tharraa gayaa jigar
jaNgi duniyaa
hassaas* theeN nawaazisheN aksar habeeb ki
bahkey huye sharaar* se tharraa gayaa jigar
sensitive ….. aag
**************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 303