donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* asslaam ai peyaarey abbu aap kaa naamah milaa *
baDee mohabbaton ke saath apnee aor bhai abdul wahaab 
ki jaanib se janaab Abba Jaan ki nazr

asslaam ai peyaarey abbu aap kaa naamah milaa
jis me waazeh lafz me shafqat tha bas likkhaa huwaa
ho bobaarak aap ko yaom e vilaadat abbaa jaan
aap hi se hai hamaarey ghar ki saaree aan baan
aap kaa yaom e vilaadat be bahaa masroor kun
aap me ham ne hain paaye har tarah  ke nek gun
shahd jaisey aap ke ash’aar hain oulfat ka phool
mo’aaf kardeN chhotey betey ko huyee koyee ho bhool
main ki pisar e naatawaaN huN jaahile mutlaq bhi hun
par ijaazat ho to dil ki baat bhi apnee kahuN
bilyaqeeN maiN baat dil ki kah rahaa huN saaf saaf
aap se meraa koee zaatee nahi hai ikhtelaaf
maiN  “club “ meN jaauN kiuN meraa wahaaN kiya kaam hai
wo hai bas un ke liye jin ka baDaa  saa naam hai
geet apney doosrooN ki taan pe main gaaouN kiuN
jis jagah izzat na ho aisee jagah maiN jaauN kiuN
haaN magar ik baat ka main indiyah detaa chalooN
apni - W.S. ke dil ki baat bhi kahtaa chalooN
gar  “club “ ney ham ko invite kiya to jaayen gey
bin bulaaye gar gaye to behayaa kahlaayen gey
baat dil ki kah chukaa huN hoke be khaof o khatar
leke jootaa pil paDeN haazir hai ik betey ka sar
merey abbaa jo bhi huN is haal me .. kar leN qabool
taaki maathey par lagaa luN aap ke charnoN ki dhool
by masood hassaas
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 365