donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ma’soom lab hazaar khodaaoN se dar gaye *
Ma’soom lab hazaar khodaaoN se dar gaye
Alfaaz be basee me sadaaoN se dar gaye
 
Tahzeeb e nao se ho gayaa u’ryaaN mezaaj e yaar
Sooraj huwaa  buland  sho’aaoN se dar gaye
 
Ma’soom khowaahisheN thiN machal kar ke rah gayeeN
Zehni  tasauwuraat  ki  chhaaoN se dar gaye
 
tanhaaiyoN  ko amn ka zaamin smajh liyaa
yaaroN ki be misaal jafaaoN se dar gaye
 
who bahr e bekaraaN me rahe ghotah zan ajab
ham they ki aaNchaloN ki hawaaoN se dar gaye
 
go ham haiN apni zaat me ik mustanad kitaab
sinf e ghazal ki taNg  fezaaoN se dar gaye
 
ta’meer e gulsitaaN ne liya is qadar kheraaj
hassaas o dil fareb sadaaoN se dar gaye
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 332