donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Hassas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khalish ka daayerah har dam jigar me rahtaa hai *
Khalish ka daayerah har dam jigar me rahtaa hai
Kisi ke jaane ka ehsaas ghar me rahta ahai
Sunaayi deti hain har so se aahateN mujh ko
Ye kaon hai mere deewaar o dar me rahtaa hai
Jo apne aap me jhaaNka to ye huwa ehsaas
Ki eyk saayah hai dil ke khaNdar me rahtaa hai
Mujhe jomood ki ik JEEM tak se nafrat hai
Mera asho’oor mosalsal safar me rahtaa hai
uDaan deta hai bhar poor har takhaiyul ko
koyi to hai jo merey baal o par me rahtaa hai
isey bhi raqs e mosalasal se peyaar hai to nahi
safina kis liye aksar bhaNwar me rahtaa hai
meraa habeeb bhi uljhan ka ik jahaan hai kiya
agar se jaan chhuDaa ke magar me rahtaa hai
bahot saNbhal ke uThaana koyi qadam apaan
shareef shakhs hamesha nazar me rahtaa hai
amal se log nasab ko khaNgaal letey hain
pedar ka aks hi lakht e jigar me rahtaa  hai
meri nigaah ko detaa hai zaaviyah tirchha
wo khaas bal tera jo ki kamar me rahtaa hai
isee ke waastey main aor ho gayaa hassaas
teraa shabaab gul e tar ba tar  me rahtaa hai
***************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 437