* Faqat deewaar ka dar ka tahaffuz *
Faqat deewaar ka dar ka tahaffuz
Ho is se kiya merey ghar ka tahaffuz
Hamaari zaat hai bare geraaN kab
Magar ik mas’lah sar ka tahaffuz
Ali ki zaat ka ye falsafah hai
Ebaadat hai payambar ka tahaffuz
haiN aaNkheN aayinah dil ka yaqeenan
huwaa doobhar khuley ghar ka tahaffuz
ye shaan e rab nahiN to aor kiya hai
kareN kaaNTey gul e tar ka tahaffuz
defaa e nafs me ye ghoomta hai
bhaNwar se hai samaundar ka tahaffuz
payaam e amn ki surkhee chhapi hai
huwa waajib kabootar ka tahaffuz
hawaawoN ki nazar is baat par hai
ki ho kaise bawanDar ka tahaffuz
amaaN Hassaas kiuN ho zid pe maayil
koyee kartaa hai kiya shar ka tahaffuz
**** |