donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zarf ko us ke aazmae kaun,Aaeena us ko ab dikhae kaun *
Zarf ko us ke aazmae kaun,Aaeena us ko ab dikhae kaun
Sab hi jab teergi pasand huae,rah guzar par dia jalae kaun
 
Loot,  dhashat,  fasaad ,bud  haali, ho  gaee  hae   ajab  zuboN  haali
So gae haeN yeh rahbaraan e watan,mas’alah hae inheN jagaae kaun
 
Jab se raqs e khizaaN hua jaari, Hoo  ka  alam chaman pa hae taari
Chup huae andaleeb e gulshan bhi,naghma e jaaN fizaa sunae kaun
 
Dard  ke  saath  din  bitate  hoN, jab  na  bilkul  sukoon  paate hoN
Dil na khush ho to aese aalam meiN tum bataao ke muskurae kaun
 
Barq  ka  mustaqil  thikaana  hae, aandhiyoN  ka  bhi  aana jaana hae
Jane kab phoonk deN nasheeman yeh,aashiyanaa yahaN banae kauN
 
Bojh hans hans ke woh utha te the,apne kaandhoN pa bhi gumate the
Mas'ala ban gaya yeh betoN meiN, Bojh  maaN baap ka uthae kauN
 
Ek  ishaare  pa  pahle  aata  tha, baat  masaud  maan  jaata  tha
Ab to us ke hazaaroN nakhre haeN,chaand ko chat pa ab bulae kau
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 315