donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* WOH JO APNA THA USI HAATH MEIN KHANJAR DEKHA *
GHAZAL

WOH JO APNA THA USI HAATH MEIN KHANJAR DEKHA
MERI AANKHOn NE KAEE BAAR YEH MANZAR DEKHA
DOOSROn KO HI BADALNE MEIN KATI UMR TAMAAM
AUR APNE KO NA EK BAAR BADAL KAR DEKHA
JANE KEYA SOCH KE NIKLE THE SAFAR PAR HUM LOG
LAUT KAR HUM NE NA PHIR GAAOn KA WHO GHAR DEKHA
PEYAAS SAHRAAOn KI TO SAB NE SUNI THI LEKIN
PEYAASA IS BAAR MAGAR HUM NE SAMUNDAR DEKHA
KHUSHBUEn PHAIL GAEEn DOOR TALAK GULSHAN MEIN
HUM NE JAB PHOOL KI MAANIND BIKHAR KAR DEKHA
HAASIL E ISHQ YEHI THA KE TERE ISHQ KE BAAD
EK TERE DAR KE ALAAWA NA KOEE DAR DEKHA
GARDISH E WAQT NE JAB CHAAL CHALI TO US NE
KOEE DASTAAR HI DEKHI NA KOEE SAR DEKHA
MERE SARKAR(S.A.) KA EJAAZ HEI DUNIYA WAALO
WAQT NE SAB KO KHADA EIK BARABAR DEKHA
MANZILEn TUJH KO BAHOT DOOR LAGEn GI MASAUD
RAAH MEIN TU NE AGAR MEEL KA PATTAR DEKHA
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 298