donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na dushmani kaa thikaanaa na dosti mukhlis *
Na dushmani kaa thikaanaa na dosti mukhlis
Bataao,shahr meiN hae koii aadmii mukhlis 

HumeN to josh e junooN ka hii bas saharaa hae
Khirad ne saath diyaa hae na aagahi mukhlis 

Ajeeb dhab se guzarti rahii zamaane meiN
Na maut ne hii nibaahaa na zindagi mukhlis

Humesha is ne aNdheroN ki hum nawaaii kii
“kabhi huii na humaari ye roshnii mukhlis 

Uthaa ke rakhte aqeedat se apnii palkoN par
Kabhii jo miltii humeN tum se dostii mukhlis

Ye baat kaash samajh le te baagbaan e chaman
Rahii chaman kii humeshaa kali kali mukhlis

Zaroor hotaa asar phir tiri duaaoN meiN 
Khudaa kii kartaa jo Masaud  bandgii mukhlis 
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 317