donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* uski haalat mujh se behtar hae to hae *
uski haalat mujh se behtar hae to hae
Ashk_ gham mera muqqadar hae to hae

Cho'r kar jab aa gaye hum gaaoN ko
Ye agar shahr_sitamgar hae to hae

Kwaab bhii keya dekhna ab cho'r deN
zindagi kaantoN ka bistar hae to hae

Hum kabhi bhii sar jhukaayeN ge nahiN
Haath meiN logoN ke patthar hae to hae

HaaN,pahuNch kar hii rukeN ge dekhna
Laakh pahra us ke dar par hae to hae

Le ke aayeN ge yahaaN ik inqilaab
Saamne soolii ka manzar hae to hae

Fasl ulfat kii uge gii aek din
Aaj dharti maana banjar hae to hae

Us se kiyuN Masaud rishta tod looN
Bhaii ke haathoN meiN khanjar hae to hae
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 292