donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagi ki umr bhar maeN justujoo karta raha *

 

Zindagi ki umr bhar maeN justujoo karta raha
Doobte sooraj se shayad guftgoo karta raha
 
Mujh se barham thi rafoogar ki nazar bhi har ghadi
Daamane dil khud hi kaanton se rafoo karta rahah 
 
Tha ameer e shahr ka kuch ro’ab mujh par is qadar
Zindagi bhar bas qaseede meiN ghuloo karta raha
 
Dhoop le kar ud gaee phooloN se rang o noor sab
Aur maeN har pal talaash e rang o boo karta raha
 
Us ki thi aa’dat yaqeenan dosto shab khoon ki 
Jaane kiyuN maeN jang us se do ba do karta raha
 
Pyaas ki shiddat ko maeN ne har ghadi qaboo kiya
Mustarad zaalim ki har ik aab e joo karta raha
 
Us ke zauq e ishq meiN thi is qadar pakeezgi
Umr bhar Masaud ashkoN se wuzoo karta raha           
**************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 269