donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* zindagi ab jahaN pa laee hae *
zindagi ab jahaN pa laee hae
Ik qadam bhi badhe to khaee hae
 
Rahat e jaaN the wasl ke lamhe
Jaan lewaa bahot judaee hae
 
 
Aaj mahki huee hae baad e sabaa
Un ki zulfon ko choo ke aaee hae
 
Mujh se naaraz hae who jaan e ghazal
Baat dushman ki yeh udaaee hae
 
Chaand sooraj bhi sahme sahme haeN
Us ne rukh se naqaab uthaee hae
 
Tu na zaalim ko kah saka zaalim
Keya yahi teri haq nawaaee hae
 
So gaya phir se bhookha bachcha aaj
Kaesi yaa rab tiri khudaaee hae
 
Jis pa ladte haeN aaj shahr ke log
Koi parbat nahiN who raaee hae
 
Jab se bhoola hae tu rawaayat ko
Har taraf teri jag haNsaaee hae
 
Saari mehr o wafa tiri qismat
Mere hisse mein be wafaee hae
 
Seekh Masaud inkesaari bhi
Tu ne shohrat bahot kamaee hae
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 354