donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuch to jeene kaa intizaam karo *
Kuch to jeene kaa intizaam karo
Dard dunyaa ke mere naam karo
 
Aarzoo dil mein ye tadapti hae
Kaash ik roz tum kalaam karo
 
Ye hae farmaan ahl e sarwat ka
Sar jhukaao unheN salaam karo
 
Is mein rahte haen raaz kuch mere
Dil ko mere na raah e aam karo
 
Ban rahe ho ghulaam kiyun is ke
Nafs ko apne tum ghulaam karo
 
Andhi taqleed cho’r do yaaro
Aql ko apni, tum imam karo
 
Phir jalaao charaagh ashkon ke
Jugnuon ka bhi ihtimaam karo
 
Chaahte ho agar mile izzat
doosroN ka bhi ehtiraam karo
 
zindagi qeemti hae ye masaud
be sabab is ko mat tamaam karo
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368