donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Masood Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jise bhi qariaa e jaaN ka makeen Karte haeN *
Jise bhi qariaa e jaaN ka makeen Karte haeN
Hum us pa dosto kaamil yaqqN karte haeN
 
AyaaN hoN jin se hikaayat e zindgi ke ramooz
Ghazal meiN aese mazaameeN zameen karte haeN
 
Wo zaat e rab hae jo hae sirf qaabil e sajdah
JabeeN ko kab kisi dar ki raheen karte haeN
 
HumeN yaqeeN hae khiyaanat nahiN kare ga tu
Tujhe hi daulat e dil ka ameen karte haeN
 
Husool e ilm ka jin ke diloN main jazba hae
Tlaash e ilm meiN wo qasd e Cheen karte haeN
 
Kabhi jo karta hae  wo sakht guftgoo hum se
To apne lahje ko hum aur mateen karte haeN
 
Karo humesha hi tum baat aesi ae Masaud
Jo sirf ahl e qalam aur zaheen karte haeN
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342