donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mast Kalkattavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Muddaii laakh buraa chaahe to kyaa hotaa hai *
Muddaii laakh buraa chaahe to kyaa hotaa hai,
vahii hotaa hai jo manzuur-e-Khudaa hotaa hai.

Surkhruu hotaa hai insaaN ThokareN khaane ke baad,
rang laatii hai hinaa patthar pe pis jaane ke baad.

Voh phuul sar chaRhaa jo chaman se nikal gayaa,
izzat use milii jo vatan se nikal gayaa.

Haqiiqat chhup nahiiN saktii banaavaT ke usuuloN se,
ki Khushbuu aa nahiiN saktii kabhii kaaGhaz ke phuuloN se.

MiTaa de apnii hastii ko gar kuchh martabaa chaahe,
ki daana Khaak meN mil kar gul-o-gulzaar hotaa hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 538