* Dil akela hai bahut lala-e-sahra ki tarah *
Dil akela hai bahut lala-e-sahra ki tarah
tum ne bhi chor diya hai mujhe dunya ki tarah
chor ke jao na yun ahad-e-guzishta ki tarah
ban ke umeed raho wada-e-farda ki tarah
tum hawa ho bikhero mujhe sahil sahil
mauj-e-mai ho to baha do mujhe dariya ki tarah
pas rahte ho to ata hai judai ka Khayal
tum mere dil main ho andesha-e-farda ki tarah
bich main kuch to rah-o-rasm-e-taalluq rakho
ajnabi yun nahi milte hain shanasa ki tarah |