|
* Ankho'n mei'n ji mera hai idhar yar dekhna, *
Ankho'n mei'n ji mera hai idhar yar dekhna,
ashiq ka apane akhri didar dekhna,
kaisa chaman ke ham se asiro'n ko mana hai,
chak-e-qafas se bagh ki diwar dekhna,
ankhe'n churaio na tuk abr-e-bahar se,
meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna,
ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar,
laga hai mere pao'n mei'n aa kar dekhna,
hona na char chashm dik uss zulm-paishah se,
hoshiyar zinhar khabardar dekhna,
sayad dil hai dagh-e-judai se rashk-e-bagh,
tujh ko bhi ho nasib ye gulzar dekhna,
gar zamzama yahi hai koi din to hamsafar,
is fasl hi meihn ham ko giraftar dekhna,
bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar,
ho jayega gale ka kahi'n har dekhna,
shayad hamari khak se kuchh ho bhi ae nasim,
girbal kar ke kucha-e-dildar dekhna,
us khush-nigah ke ishq se parhez kijio 'Mir'
jata hai leke ji hi ye azar dekhna.
|
|