donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meer Taqi Meer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koft se jaan lab par aai hai, *
Koft se jaan lab par aai hai,
ham ne kya chot dil pe khai hai,

likhte ruqa, likh gae daftar,
shauq ne baat kya barhai hai,

didni hai shikasgi dil ki,
kya imart ghamon ne dhai hai,

hai tasanna ke lal hai'n wo lab,
yani ik baat si batai hai,

dil se nazdik aur itna dur,
kis se usko ashnai hai,

jis marz mei'n ke jaan jati hai
dilbaro'n ki wo judai hai,

ya'n hue khak se barabar ham,
wa'n wahi naz-e-khudnumai hai,

marg-e-majnu'n pe aql gum hai 'Mir'
kya diwane ne maut pai hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 383