donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meeraji
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Lab per hay faryaad k saaqi ye kaisa meh-khana hay *
Lab per hay faryaad k saaqi ye kaisa meh-khana hay
rang_e khoon_e dill nahi chamka, gardish main paimana hay

mit bhi chukee.n ummeedain magar baaqi hay faraib_e umeedo.n ka
is ko yahan sey koun nikaley, ye tu sahib_e khana hay

aisi baatain aur sey ja k kahey tu koi baat bhi hay
is sey kahey kiya hasil jis ko sach bhi tumhara babhana hay

Tour atwaar unokhey is k, kis basti sey aaya hay
paaoo.n main laghzish koi nahi hay, ye kaisa mastana hay

Meh khane ki jhilmil karti shame.n dill main kehti hain
hum wo rind hain jin ko apni haqeeqat bhi afsana hay
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337