donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Meeraji
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* SimaT kar kis liye nuqtaa nahiiN bantii zamiiN, kah do ! *
SimaT kar kis liye nuqtaa nahiiN bantii zamiiN, kah do !
ye phailaa aasmaaN us vaqt kyuN dil ko lubhaataa thaa,
har ek samt ab anokhe log haiN aur un kii baateN haiN,
ko’ii dil se phisal jaatii, ko’ii siine men chubh jaatii,
inhiiN baatoN kii lahroN par bahaa jaataa hai ye bajraa !
jise saahil nahiiN miltaa,
maiN jis ke saamne aauuN mujhe laazim hai halkii muskaraahaT,
meN kaheN ye hoNT “tum ko jaanta huN”, dil kahe “kab jaanta huN maiN?”
inhii lahroN pe bahta huuN mujhe saahil nahiiN miltaa,
simaT kar kis liye nuqtaa nahiiN bantii zamiiN, kah do!
vo kaisii muskuraahaT thii, bahan kii muskaraahaT thii,
meraa bhaaii bhii haNstaa thaa,
vo haNstaa thaa, bahan hanstii hai, apne dil meN kahtii hai,
ye kaisii baat bhaa’ii ne kahii, dekho vo ammaaN, aur abbaa ko hansii aayii,
magar yuN vaqt bahtaa hai tamaasha ban gaya saahil,
mujhe saahil nahiiN miltaa !
simaT kar kis liye nuqta nahiN bantii zamiiN kah do!
ye kaisa pher hai, taqdiir ka ye pher to shaayad nahiiN, lekin,
ye phailaa aasmaaN us vaqt kyuN dil ko lubhaataa thaa?
hayaat-e-mukHtasar sab kii bahi jaati hai aur maiN bhi,
har ek ko dekhta huN, muskuraata hai ke hansta hai,
ko’ii haNstaa nazar aaye, ko’ii rotaa nazar aaye,
maiN sab ko dekhta huN dekh kar Khaamosh rahtaa huN,
mujhe saahil nahiiN miltaa !
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 327