donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mehr Lal Soni Zia Fatehabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Husn kii fitnaasaaziyaan na gaiin *
Husn kii fitnaasaaziyaan na gaiin
Ishq kii ghamnawaaziyaan na gaiin
Laakh rokaa jatan kiye lekin 
Dard kii sarfaraaziyaan na gaiin 
Aadamii mutmaiin huaa na kabhii
Dil kii shikwaataraaziyaan na gaiin 
Na huii dard men kamii na huii
Na gaiin chaaraasaaziyaan na gaiin 
Hum hue munharif magar aaqaa
Terii bandaanawaaziiyaan na gaiin 
Na huii khatm zindagi jab tak
Maut kii hiilaasaaziyaan na gaiin 
Aashiyaan ujadaa murgh e bismil kii 
Ae “Zia” naghmaasaaziyaan na gaiin 
***************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 323