donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mehr Lal Soni Zia Fatehabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gham e ulfat men jaan dii hotii *
Gham e ulfat men jaan dii hotii
Khizr kii umr mil gaii hotii
Taaqat e intizaar thii ki na thii
Jurrat e intizaar kii hotii
Na huaa husn multafit, varnaa
Dil kii duniya badal gaii hotii
Zabt e gham men labon kaa hilnaa kyaa
Bezubaan aankh multajii hotii
Mashviraa tark e mai kaa theek magar
Sheikh, tuu ne kabhii to pii hotii
Jaan dete khushi se maut agar
Kaashif e raaz e zindagii hotii
Gungunaataa koii “Zia” kii ghazal
Aur fizaa saaz chherhtii hotii
*************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 373