donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mehr Lal Soni Zia Fatehabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Pas e pardaa kisii ne mere armaanon kii mehfil ko *
NAZM

Sonnet:

“Dubkani”

Pas e pardaa kisii ne mere armaanon kii mehfil ko 
Kuchh is andaaz se dekhaa, kuchh aise taur se dekhaa 
Ghubaar e aah se de kar jilaa aainaa e dil ko 
Har ik soorat ko maine khoob dekhaa, ghaur se dekhaa 
Nazar aaii na woh soorat, mujhe jiskii tamanaa thii 
Bahut dhoondaa kiyaa gulshan mein, veeraane mein, bastii mein 
Munnawar shamma e mehar o maah se din raat duniyaa thii 
Magar chaaron taraf thaa ghup andheraa merii hastii mein 
Dil e majboor ko majrooh e ulfat kar diyaa kisne 
Mere ahsaas kii ghahraiion mein hai chubhan gham kii 
Mitaa kar jism, merii rooh ko apnaa liyaa kisne 
Jawanii ban gaii aamaajagaah sadmaat e paiham kii 
Hijaabaat e nazar kaa sisilaa tod aur aa bhii jaa 
Mujhe ik baar apnaa jalwaa e rangiin dikhaa bhii jaa.
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355