donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aa ki merii jaan mei’n qaraar nahii’n hai *
Aa ki merii jaan mei’n qaraar nahii’n hai 
Taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii’n hai 

Dete hai’n jannat hayaat-e-dahar ke badale 
Nashshaa baaandaazaa-e-khumaar nahii hai 

Giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko 
Haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahii hai 

Ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir 
Khaak mei’n ushshaq kii ghubaar nahii hai 

Dil se uthaa lutf-e-jalvaa haaye maanii 
Ghair-e-gul aaiinaa-e-bahaar nahii hai 

Qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare 
Vaaye! agar ahad ustavaar nahii hai 

Tuu ne qasam maikashii kii khaaii hai 'Ghalib'
Terii qasam ka kuchh aitabaar nahii’n hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364