* kyo.nkar us but se rakhuu.N jaan aziiz *
kyo.nkar us but se rakhuu.N jaan aziiz
kyaa nahii.n hai mujhe iimaan aziiz
dil se nikalaa pa na nikalaa dil se
hai tere tiir kaa paikaan aziiz
taab laaye hii banegii 'Ghalib'
baaqi_aa saKht hai aur jaan aziiz
|