donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota *
Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota
Agar aur jeete rahtay,  yehi intezaar hota

Tere waa’de par jiyee ham to yeh jaan chhooT jana
K khushi se mar na jaate!!!  agar intezaar hota

Koi mere dil se poochhe, tere teer E neem kash ko
Yeh khalish kahaaN se hoti, jo jigar k paar hota

Yeh kahaaN ki dosti hai K bane haiN dost naaseh
Koi chaaraa saaz hota koi Ghamghusaar hota

KahuN kis se maiN K kya hai shab E Gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marnaa agar aik baar hota

Hue mar K ham jo ruswa hue kyuN ka Gharq E dariya
Na kabhi janazaa uthta na kahiN mazaar hota

Yeh masaael E tasavvuf, yeh tera bayaan ‘Ghalib’
Tujhe ham wali samajhte Jo na baadaakhaar hota
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 428