donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyuN *
Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyuN
RoyeNge ham hazaar baar koi hameiN sataaye  kyuN
Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastaN nahi
Baithe hain rahguzar pe ham, ghair hamein uthaaye kyuN
Jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
Aap hi ho nazaarasoz, parde mein munh chupaaye kyuN
Dashna-e-gamza jansitaN, nawak-e-naz bepanaah
Tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aaye kyuN
Qaid-e-hayat-o-band-e-gham asl mein donoN ek haiN
Maut se pahle aadmi gham se najat paaye   kyuN
Husn aur us pe husn-e-zan rah gayi bulahawas ki sharm
Apne pe etimaad hai ghair ko aazamaaye   kyuN
WaN wo ghuroor-e-izz-o-naz, yaN ye hijab-e-pas waz’a
Raah mein ham milen kahaN, bazm mein wo bulaaye kyuN
HaaN wo nahi khudaparast, jaao wo bewafa sahi
Jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaaye kyuN
“Ghalib”-e-khastaa k baghair kaun se kam band haiN
Roiye zar-zar kyaa, kijiye haaye-haaye kyuN
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 419